Kuch adhure khwaab aankhon me saja kar so gaya Bant di khushiyan sabi me ashqon ko chupa kar so gaya Har koi meri hansi ko dekh kar hans leta hai Mai to patthar tha gamon ko bhi rula kar so gaya
Muskurake hum apna dard chipate hain Hum wade-e-wafayee taumr nibhate hain Par humpe aaj na hai kisi apne ko aetbaar Aaj humein sab begaana batate hain
Jaate huye mud kar jab humne dekha, samajh gaye hum jo tumne na kaha, tumhara jaana thi koi majburi, tumse bhi na sahi jayegi ye duri, har wade pe teri aietbar hai hume, bas itna yaad rakhna, aapke laut kar aaneka ka intezar hai hume