Kisne meri kabar par aake diya jala diya Bijli kadak ke gir padi sara chaman jala diya Chain se so raha tha main odhe kafan majar par Yahan bhi satane aa gaye, kisne pata bata diya
raaz ki baatain likhi aur khat khula rehney diya jaanay kyon rusvaion ka silsila rehnay diya.. umar bhar saath reh kar woh na samjha dil ki baat. do dilon kay darmiyan ik faasla rahney diya ! apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood, Khatam ki ranjish magar gila rehney diya !