JANE KIS BAAT KI SAZA DETE HAI, MERI HASTI HUVI AANKHO KO RULA DETE HAI, MUDDAT HUVI UNHE DEKHA BHI NAHI, KYA IS TARHA BHI KOI APNO KO BHULA DETE HAI..
Dil main har raaz daba kar rakhte hain , Hontoon per muskurahat saja kar rakhte hain, Yeh duniya sirf khushi mein saath deete hai , Iss liye hum apne aansoon ko chupa kar rakhte hain
karib rehne ki chah to hamaen bhi thi,par na jane kyon faasle hi darmiyan aaye... marz ki dava to le lete hum bhi,par na jaane gyon jakhm nazar hi nahin aaye.
Raat gumsum hai magar chan khamosh nahi, Kaise keh du aaj fir hosh nahi. Aisa duba teri aakho ki gehrai main, Haath mein jam hai magar pine ka hosh nahi.
Arthi meri uth rahi thi mere ashiyane se,fir bhi taklif thi unko bahar aane me,bewafa ne ghar me bethe bethe hi pucha ki,aur kitani der baki he ise jalane me??
Chaha Tha Unhe Hale Dil Sunana, Chaha Tha Unhe Junoone Mohhabatt Dikhana, Nasme Laye The Hum Dil Kured Kured Kar, Per Alfaaz Bhi Chale Gaye Unhe Dekh Kar
Bhari Mehfil Mein Tanha Mujhe Rehna Sikha Diya, Tere Pyaar Ne Duniya Ko Jhoota Kehna Sikha Diya, Kisi Dard Ya Khushi Ka Ehsaas Nahin Hota Ab To, Sab Kuch Zindagi Mein Chup-Chap Sehna Sikha Diya.