mere dil ke zakhm ab aah nahi bharte, kyoN ki who ab is dil mein raha nahi karte, hum ne ansuooN se unko vidayee dee hai in ankho mein ab ashq raha nahi karte...
Hansane ke baad kyon rulaati hai yeh duniya, jaane ke baad kyon bhulati hai yeh duniya. Zindagi mein kya kuchh kasar baaki thi jo marne ke baad jalati hai yeh duniya!!
dil ke rishte ab bhi nai choote bas dil roothe hain…. yaddo ke bandhan ab bhi nahi toote bas yadein roothi hain …. mai ussi modh par ab bhi hu bas teri rahein roothi hain…
Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.