zakhm sah letey hain..honthon ko see letey hain zindagi jaisi bhi dey ...usey khushi se jee letey hain tu hamein apney hathon sey pila na pila aey saaki peeney waley to teri ankhon sey peee letey hain!
Paas aakar yun hum tum dur kyon ho gaye Pal bhar mein hi khayal kyon tinko mein bikhar gaye Teri mauzudgi ka ehsaas ab tanhayee main hota hai Jab aankon se teri yaad paani bankar nikalti hai
Dard ki had se guzarna to abhi baqi hai Tut ke mera bikharna to abhi baqi hai Pas akar mera dukh dard batanewale Mujhse katra ke guzarna to abhi baqi hai