Kaha koi aisa mila jispar duniya luta dete,Har ek ne dhoka diya kis kis ko bhula dete,Apne dilka zakhm dilme hi dabaye rakha,Karte bayan to mehfil ko rula dete.
ji bhar ke roye to karar paaya..is daur me kisne sachha pyar paaya..zindagi guzar rahi hai imtihano ke daur se..ek zakhm bhara nahin ki dusra taiyyar paaya.
Maana ki aaj hamare saath koi dildaar nahi, lekin ye mat samajhna ki hume kisi se pyaar nahi, kismat ne sab kuch diya hume, sirf diya hamara woh yaar nahi.
kabhi hum ne use apna kaha hi nahi kabhi usne mujhe na apna kaha unhe jate hue hume apni saari khushiya de di unhone unke dard hume sambhal kar rakhna ko kaha.
Meri tanhaiya karti hai jinhe yaad sada,unko bhi meri jarurat ho jaruri to nahi,Muskurane se bhi hota h byan Gum-E-Dil,ashk aankho me ho jaruri to nahi.