Kisi k Haq mein hi sahi, wo DUA to kare Wo keh nahi sakta, meri Suna to Kare Main Lott jaon ga apni Udas Duniya main Wo shaks mujhse Bicherny ka faisla to kare
Kaha koi aisa mila jispar duniya luta dete,Har ek ne dhoka diya kis kis ko bhula dete,Apne dilka zakhm dilme hi dabaye rakha,Karte bayan to mehfil ko rula dete.
Alafaz nahi hai paas mere gum-e-ulfat kaise bayan karoon Aap ne ki hai mujhse beeafayee ye jag zaahir kaise karoon Humne to aap se mohabbat karke khud hai bhula diya Tere baad haalat kaise hai meri ab ye zaahir kaise karoon
Aagaaz to hota hai anjaam nahin hota jab meri kahaani mein woh naam nahin hota jab zulf ki kaalikh mein ghul jaye koi raahi badnaam sahi lekin gumnaam nahin hota