Mitti ka jism leke pani ke ghar me hu, manzil hai maut meri main harpal safar me hu, hona hai qatal ye malum hai, lekin khabar nahi main kis-2 ki nazar mein hu
Kadam kadam pe baharon ne saath chhoda, zaroorat padne par yaaron ne saath chhoda, vaada kiya sitaron ne saath dene ka, subah hone par sitaron ne bhi saath chhoda.
Tumse Mil Kar Bhi Hum Judai Ke Mor Per Kashti Hui Naseeb To Derya Nahi Raha Kehty Thy Ik Pal Naa Jeeain Gye Tere Begair Hum Dono Reh Gaye Magar Wada Na Raha
Kuch pal ke lamhe ab k saal me hai, ham unke or wo mere khayal me hai, tanha the pehle ham beparwah thi zindagi, ab fikar lagi rahati haiwo kis haal me hai.
Laut jati he duniya gam hamara dekhkar, jaise laut jati he lehren kinara dekhkar, tu kandha na dena mere janaze ko, kahi fir zinda na ho jau tera sahara dekhkar
Rang wale rang se tasveer badal dete hain,Nikle hue kamaan se teer badal dete hain... Tumse mere do aansu na badle gaye,Badalne wale to taqdeer badal dete hain