Aaj phir doston ne mujhse pochaK tera hasta hua chehra UDAS kyun hai?Barsti aankhonn mein piyas kyun hai?Jinki nazro mein tu kuch nahiWo tere liye KHAS kyun hai
Raat dhal gayi, sitare chale gaye.. gairo se kya gila jab apne chale gaye.. jeet to sakte the ishq ki baji hum bhi.. par unko jitane ke liye hum harte chale gaye
Woh roye to bahot par muh mod ke roye,Bade majbur honge jo dil tod ke roye,Hamare saamne kar diye hamari tasvir ke tukde,Baad me wohi tukde jod jod ke woh roye
Hum jise dekhne ke liye jiye ja rahe hai.wo parde pe parde kiye ja rahe hai.tajjub ki baat to yeh hai yaro hum abhi mare nahi aur wo kafn pe kafn siye jarahe h
Kashti bhi na badli , Dariya bhi na badla , Ham dubne walo ka jazba bhi na badla Hai Zok-e-Safar aisa ek umar se hame, Manzil bhi na pai or rasta bhi na badla
Ab unki chahat mein yeh naubat aa gayi, Thandi hawa bhi hume jala gayi, Kehti hai aap yahan tadapte hi reh gaye, Mein tumhare sanam ko chuu kar bhi aa gayi
wo tere pyaar ka gam ek bahana tha sanam,apni kismat hi aisi thi ke dil toot gaya,ye gam na hota to koi aur gam hota,me to wo hu jise har haal me rona tha.
hasane ke bad kyon rulati hai duniya, jaane ke bad kyon bhulati hai duniya, baki rehti hai kya kasar zindgi me, ki marne ke bad bhi jalati hai duniya......