Aap na Aye apki yad akar wafa kar gai,apse milne ki tamanna Sukun tabah kar gai,ahat hui socha asar Dua kar gai,Darwaza khola dekha mazak humse Hawa karGAYI.
Wada kar ke jo mukar jate hain Woh log sab se jyada kareeb hote hain Waqt to chalta hai chal ke badalta hai Par ye log waqt se pehle hi badal jate hain..
Ab unki chahat mein yeh naubat aa gayi, Thandi hawa bhi hume jala gayi, Kehti hai aap yahan tadapte hi reh gaye, Mein tumhare sanam ko chuu kar bhi aa gayi
IS RAAT KI TANHAHIYON KI BAAT LIKHOON, YA DEEDAR KO TARASTI ANKHON KA HISAB LIKHOON, TUMSE DOOR RAHNE KA GHUM BAYAN KAROON, YA PHIR APNI HI ZUBAN BAND RAKHOON
Chale bhi aao ki hum tumse pyar karte hain.Yeh woh gunah hai jo hum bar bar karte hain.Log maut tak hi dilbar ki raah takte hain,Hum hai ki kabar mein tera intezaar karte hain...