Roti hui aakho me intazaar hota hai, Na chahate huye bhi pyar hota hai, Kyu dekhte hai hum who sapne, jinke tutne par bhi unke sach hone ka intzaar aakhir taak hota hai
Na koi manzil hai na kinara hai koi,Tanhai hai mehfil or yadein hai sahara Us se bichad kar kuch yun waqt guzara,kabhi Zindagi ko tarse kabhi maut ko pukara..
OR KOI GAM NAHI EK TERI JUDAI KE SIVA, MERE HISSE ME KYA AAYA TANHAI KE SIVA! YU TO MILAN KI RAATE MILI BESUMAAR, PYAR ME SAB KUCHH MILA SEHNAI KE SIVA!!
Hosh me aaye zamana hua, lekin bahosh khud ko paate hain, arsha beeta iss duniya mein, lekin khud ko tanha paate hain, dar lagta hai lambi umar se, itna duniya ne sataya hai, log mout se dara karte hain, hum zindagi se ghabraatein hain…
Is se zyada kya rakhte hai chahat ki umeed,mita diya khud ko tumhe paane ke liye,mar kar bhi na bhool payenge hum,aankh to bandh ki hai sirf zamane ke liye.
tarapthe woh hain jinn ko koi ehsaas ho, door kar ke dua karthe hain, kaash woh mere paas ho, yeh judaai ke pal khud rothe hai tumari yaad main... faryaad karthe hain...dard ka bi koi insaaf ho