rone de aaj hamko tu aankhe sujane de, baho me lele aur khud ko bhig jane de, he jo sine me kaid dariya woh chuth jayega, he itna dard ke tera daman bheeg jayega.
Kuch hain jo bolkar apni baat samne rekhte hain Hum hain jo aankhon se izhaar karte hain Humein adat hai kinare aakar nao doobane ki Woh hain, ki toofan main bhi samandar paar kiya karte hain
geele kagaz ki tarah hain zindagi apni, koi jalata bhi nahin koi bahata bhi nahin, is qadar hain akale rahaon mein dil ki, koi bulata bhi nahi koi batlata bhi nahin