Masti aankhon me hoti hai..sharaab me nahi... Bhakti shraddha me hoti hai...shabdon me nahi.. Tu bhi jaan le mere dost... Dosti dil me hoti hai.. dikhaweme nahi...
Jab kabhi tera naam lete hai Dil se hum inteqam lete hai Meri barbadiyo ke afsane Mere yaro ke naam lete hai Bas yehi ek jurm hai apna Hum muhabat se kaam lete hai.
Mout ki gaadi me jis din sona hoga. Na koi takiya hoga na koi bichona hoga. Saath hongi aap jaise DOSTON ki meethi yaaden. Aur shamshan ka ek chota sa kona hoga.
Dosti acchi ho to rang lati hai. Dosti gehri ho to sabko bhati hai, dosti nadaan ho to toot jaati hai, par dosti hum jaiso se ho to itihaas banati hai.
Pyaar kahete hai.. Mohabbat kahete hai.. Kuch log use bandagi kahete hai.. Magar jinke sath hum Dosti karte hai.. Hum unhe apni zindgi kahete hai.....! Darde Dil sehna asan nahi hota.. Kimti cheez ka har koi kabil nahi hota.. Ye to rab ki meharbani hai warna .. tum jaisa Dost hume hasil nahi hota.....!