Kal na phir ye samaa hoga, hum mein se kaun najaane kahaan hoga..? Murjhaaye phool to mil jaenge kitaabon mein, par bicchde Doston ka shayad hi koi pataa hoga....
Tere dil mein dosti ki buniyad rakhenge,, khud ko kaid magar tujhe aazad rakhenge,, kahin ho na jaye gustakhi dosti mein aye dost,, issliye hum apne kadam tere kadmo ke baad rakhenge,,
Sans chalna hi zindgi nahi hoti. sanso ka thamna maut nahi hoti.khudko bhi dafan karna padta he dosti ke liye, dost ko dost keh denese hi dosti nahi hoti
Smart tum ho to bure ham bhi nahin, mahlon me tum ho to sadkon pe ham bhi nahin, dosti karke kahte ho busy ho, waqt nikalna hamse sikho, free to ham bhi nahi
Zindagi bhar saath hum denge, girne lagoge to haath hum denge, dosti ke rishte ko kamjor mat samjhana, isko banaye rakhne ke liye har imthaan hum denge.
Aapki aakhon me hume mil gayi panah,chahe samjho dillgi ya samjho gunah,bhale hi koi hume pagal karaar de ya deewana,hum to ho gaye aapki dosti me FANNAAA.
Chale gaye hain door kuch pal ke liye, Magar hain kareeb harpal ke liye, Kaise bhulayenge aapko ek pal ke liye, Jab ho chuki hai dosti umar bhar ke liye.