Mout ki gaadi me jis din sona hoga. Na koi takiya hoga na koi bichona hoga. Saath hongi aap jaise DOSTON ki meethi yaaden. Aur shamshan ka ek chota sa kona hoga.
Mushkilo se ghabra K ab jeena nahi chahte, Dur tumse hoke ab rahna nahi chahte, Yun to Dost bahot bane is zindagi mein, Par tuz jaise Dost ko khona nahi chahte
Har raat ko chand ka shingar nahi milta, Har baag ko phool ka dular nahi milta, Maine bhi duniya dekhi hai Dost, Har insaan ko tere jaisa yaar nahi milta.
Hasna hamara kisi ko gawara nahi hota Har musafir jindagi ka sahara nahi hota Milte hai bahot log is tanha jindagi mein Par koi DOST tumsa pyara nahi hota!
Jasda-e-Dost nakam nahi hone denge! Aap ki duniya me shaam nahi hone denge! Dosti ka har imtihan apne sar pe lenge! Par e Dost,Aapko kabhi pareshan na hone denge
Saato aasman ki sair hum kar aaye, har ek taare se Dosti kar aaye, Ek TARA khas tha jise hum saath le aaye, Warma aap sochiye aap is zamane par kaise aaye