Kashti ka khaamosh safar hai
Shaam bhi hai tanhaai bhi
Door kinare par bajati hai
Laharo ki shahenai bhi
Kashti ka khaamosh safar hai
Shaam bhi hai tanhaai bhi
Door kinare par bajati hai
Laharo ki shahenai bhi
Aaj mujhe kuchh kahana hai
Aaj mujhe kuchh kahana hai
Lekin ye sharmili nigaahe
Mujhako ijaazat de to kahu
Khud meri betaab umange
Thodi fursat de to kahu
Aaj mujhe kuchh kahana hai
Aaj mujhe kuchh kahana hai
Jo kuchh tumako kahana hai
Wo mere hi dil ki baat na ho
Jo he mere khwabo ki manzil
Us manzil ki baat na ho
Kehte hue dar sa lagata hai
Kahekar baat na kho baithu
Ye jo zara sa saath mila hai
Ye bhi saath na kho baithu
Kabase tumhaare raste pe main
Phool bichhaaye baithi hu
Keh bhi chuko jo kehna hai
Main aas lagaaye baithi hu
Dil ne dil ki baat samajh li
Ab muh se kya kahana hai
Aaj nahin to kal kah lenge
Ab to saath hi rahena hai
Keh bhi chuko keh bhi chuko
Jo kahana hai
Chhodo ab kya kehna hai...
Aaj Mujhe Kuchh |
Aaj Rona Pada Toh |
Main Pagal Hoon |
Paise Ki Kahani |