Gareeb Janke Hamko from Chhoo Mantar Movie (Omkar Prasad Nayyar)

Gareeb jaan ke
Gareeb jaan ke ham ko na tum mita dena
Tumhi ne dard diyaa
Tumhi ne dard diyaa hai tumhi dawaa dena
Gareeb jaan ke

Lagi hai chot kaleje pe umr bhar ke liye
Lagi hai chot kaleje pe umr bhar ke liye
Tadap rahe hain muhabbat mein ik nazar ke liye
Nazar milaake
Nazar milaake muhabbat se muskura dena
Tumhi ne dard diyaa hai tumhi dawaa dena
Gareeb jaan ke

Jahaan mein aur hamaara kahaan thikaana hai
Jahaan mein aur hamaara kahaan thikaana hai
Tumhaare dar se kahaan uthke hamko jaana hai
Jo ho sake to
Jo ho sake to muqaddar mera jagaa dena
Tumhi ne dard diyaa hai tumhi dawaa dena
Gareeb jaan ke

Milaa qaraar na dil ko kisi bahaane se
Milaa qaraar na dil ko kisi bahaane se
Tumhaari aas lagaaye hain ik zamaane se
Kabhi to apni
Kabhi to apni muhabbat ka aasraa dena
Tumhi ne dard diyaa hai tumhi dawaa dena
Gareeb jaan ke

Nazar tumhaari mere dil ki baat kahti hai
Nazar tumhaari mere dil ki baat kahti hai
Tumhaari yaad to din raat saath rahti hai
Tumhaari yaad ko
Tumhaari yaad ko mushqil hai ab bhula dena
Tumhi ne dard diyaa hai tumhi dawaa dena
Tumhi ne dard diyaa

Milega kya jo ye duniya hamen sataayegi
Milega kya jo ye duniya hamen sataayegi
Tumhaare bin to hamen maut bhi na aayegi
Kisi ke pyaar ko
Kisi ke pyaar ko aasaan nahin mita dena
Tumhi ne dard diyaa hai tumhi dawaa dena
Gareeb jaan ke..

Song Details
Movie
Chhoo Mantar
Artist
Omkar Prasad Nayyar
Music Directory
Omkar Prasad Nayyar
Music Label
Saregama
Singers
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt), Mohammed Rafi
Lyricist
Jan Nisar Akhtar

Other Lyrics from Chhoo Mantar

Aaja Re Aaja Na Sata Re Piya
Aankh Mein Surat Teri
Gareeb Janke Hamko
Gham Nahin Kar Muskura
Gori Gori Raat Hai
Humane Jab Dil Tha Diya
Jab Badal Lehraya
Main To Banke Naino Wali
Raat Nashili Rang Rangeeli

Other popular Lyrics by Omkar Prasad Nayyar

Mere Lehange Mein (Basant)
Hame Koi Gham Hai (Bhagam Bhag)
Yaar Badshah Yaar Dilruba (C.I.D. 909)
Tumse Dil Kya Lagaya (Duniya Rang Rangili)
Saiyan Saiyan Chhod De (Duniya Rang Rangili)
Hai Duniya Usiki (Kashmir Ki Kali)
Sun Zaalima Pyaar Hamko (Aar Paar)
Phool Se Gaalon Pe (Baap Re Baap)
Ab Yeh Bata Jaayen (Baap Re Baap)
Maajhi Albele (Baaz)