Daulat hai hume zindagi se pyaari, Daulat ke liye kardo quban yaari, Daulat keliye tood do mohabbat saari,Tum se kya chupana yaar tumhi to ho daulat humari.
Teri pyari si umeed kaise tod jaoon,Tu khwaab dekhe,Aur mein nazar na aaoon,Kuch to baat hai dosti mein hamari,Kya apke kadam nahi kehte,Ek baar mil aauun.!
aankho me raha dil me utar kar nahi dekha, kashti ke musafir ne samander nahi dekha, yaaro ki yaari ka yakine kar liya maine, unki baaho me chhupa khanjar nahi dekha.
Mout ki gaadi me jis din sona hoga. Na koi takiya hoga na koi bichona hoga. Saath hongi aap jaise DOSTON ki meethi yaaden. Aur shamshan ka ek chota sa kona hoga.
Zindagi har pal khas nahi hoti, phulo ki khushbu hamesha pas nahi hoti, milna hamari taqdir me likha tha , varna itni pyari dosti kabhi itefaq nahi hoti.
Hamaare to daaman mein kaanto ke siva kuch nahin. Aap to phoolon ke kharid-daar nazar aate hain. Jahan mein kitne dost mile hume par sabse ache aap nazar aate hain..