aankho me raha dil me utar kar nahi dekha, kashti ke musafir ne samander nahi dekha, yaaro ki yaari ka yakine kar liya maine, unki baaho me chhupa khanjar nahi dekha.
Dua hai rab se kabhi aapko dard ka ehsaas na de. Pal koi aisa na guzre, jab mushkilo me hum saath na de. Kisi saans me hum aapko bhule, rab hume aisi saans na de.
Ansu bina ankhe itni khoobsurat nahi hoti, gum bina khushi ki koi keemat nahi hoti, agar mil jaati har cheez chahne se, to duniya me duaon ki zarurat nahi hoti
Kafi hai sapne dil ko behlane ke liye,mohabat karlo dil ko dukhane ke liye,chahe bhale pade gum se vasta,ek hamare jaisa dost rakhna sub gamo ko bhulane ke liye
Dosti itni karo ki usme koi nafrat na ho Bharosa itna karo kiusme koi shaq na ho. Intezar itna karo ki usme koi waqt na ho Pyar itna karo ki usme koi had na ho.