Kya zamaana tha,hum roz mila karte the; raat bhar chaand ke humraaz fira karte the.. Dekh kar jo chupchaap guzar jaate hain, kabhi us shakhs ko apna Dost kaha karte the....
Yakin pe yakin dilate hain dost Raah chalte ko bewakuf banate hai dost Sharbat bol kar daru pilate hai dost Par kuch bhi kaho saale bahut yaad ate hai dost.
Zamaana gujar gaya haathon ko milaye hue, Muddat ho gayi nazaron ko milaye hue, Din raat nikal gaye yaadon me khoye hue, Ab kab samane aaoge yaar muskurate hue?
Tere dil mein dosti ki buniyad rakhenge,, khud ko kaid magar tujhe aazad rakhenge,, kahin ho na jaye gustakhi dosti mein aye dost,, issliye hum apne kadam tere kadmo ke baad rakhenge,,
Tamam Shehar Nay Nazron Pay Kion Uchaala Mujhay Yeh Itifaaq Tha Tum Is Ko Haadsaa Na Keho Yeh Aur Baat K Dushman Howa Hai Aaj Magar Who Mera Dost Tha Kal Tak Ussay Bura Na Keho