Dosti acchi ho to rang lati hai. Dosti gehri ho to sabko bhati hai, dosti nadaan ho to toot jaati hai, par dosti hum jaiso se ho to itihaas banati hai.
laut jati hai jindagi gum hamara dekh kar, jaise laut jati hai lahere kinara dekh kar , mere janaje ko kandha na dena tum , kahi phir jinda na ho jau tera sahara dekh kar.
Zindagi har pal khas nahi hoti, phulo ki khushbu hamesha pas nahi hoti, milna hamari taqdir me likha tha , varna itni pyari dosti kabhi itefaq nahi hoti.
Chand ki chandni shayad madhyam pad jaye, phulon ki khushbu shayad phiki pad jaye. Par hamari dosti mehekti rahe, shayad zindagi ke lamhe kam pad jaye.
Muskil is duniya me kuch bhi nhi fir bhi log apne irade tod dete h agar sache dil se bnaya ho rishta to sitare bhi kisi ke liye apni jagah chhod dete hai