Jivan guzarne ka bahana dhundte hain,Khatam na ho kbhi woh paimana dhundte hain,hosh me to tadpenge raat-din,jo hosh na ane de woh maikhana dhundte hai.
Har dum yaad rakhenge tumhe STAR PLUS ki tarha Har pal Bakhabar rakhenge AAJ TAK ki tarha Har pal Entertain karenge B4U ki tarha Par mujhe Ignore mat karna DOORDARSHAN ki tarha..
Hazaro ki ginti to hame nahi aati,par khwab kuch aisa dekhte hai,ke ret ka har zarra agar hira ban jaye to tohfe me aapko registan dene ki khwaish rakhte hai
meri SHAYRI chali sahar me BENAAM ho karkuch anjaan AASHIQO ke paigam le kar MAHBOOB ke labo ko chu kar wo SURKH ho gayi lauti to APNA hi EK naya naam le kar
kabhi kuch na kehkar bhi,sab keh jata hai ye dil,kabhi chup rehkar bhi har dard seh jata hai ye dil,dil ki aahein to aaj tak hum bhi na samajh paaye ,gumon k andhere me bhi khud jalkar roshini kar jata hai ,,,,,,,,,,,,ye dil
U toh bahutse jaltey hai par Kundan kaun yaha ban pata,Dube to lakho hai par Moti kiske haatho ata,Sagar ka nimantran hai mujko per lahero ko sweekar nhi,Jivan to apna hai Lekin Sapno per adhikar nhi.