Hum aankhoko phool aur hotho ko kamal kehte he, jesi mehfil ho vaisi he gazal kehte he, Hum mehfil me jaya nahi karte, Hum jaha hote he log usai mehfil kehte hai
ankhe aaj rona chahti hai, yaado me khona chahti hai,Kuchh dost itne haseen pal de gaye zindagi me, ke palke bhi jhukne se pehle firse jeena chahti hai.
kabhi kuch na kehkar bhi,sab keh jata hai ye dil,kabhi chup rehkar bhi har dard seh jata hai ye dil,dil ki aahein to aaj tak hum bhi na samajh paaye ,gumon k andhere me bhi khud jalkar roshini kar jata hai ,,,,,,,,,,,,ye dil
Milke bichadana dastoor hai zindagi ka, Ek yahi kissa mashur hai zindagi ka, Beete huye pal kabhi laut kar nahi ate, Yahi sabse bada kasoor hai zindagi ka.
Baithe-Baithe jindgi barbad na kijie.Jindgi milti hai kuchh kar dikhane k liye. Roke agar aasman hamare raste ko. To taiyar ho jao aasman jhukane k liye.