Pyaar karna bhi sikhado zara, uss dil ke kone mein humko bhi bithado zara. Hum tumhare dil mein hai ki nahi, hoton se na sahi aankhon se toh yeh batado zara… .......
Chupke se chand ki roshni aapki ho jaaye,Dheere se hawa aapko kuch keh jaaye... Dil se jo chahte ho wo maang lo Khuda se,Hum bhi dua karenge ki woh aapka ho jaaye...
Naraz hone se pehle khata bata dena aansu nikalne se pehle hansna sikha dena agar zindagi me mujhse dur jana hai to pehle bina sans liye jina sikha dena
AUR KUCH NAHI BAS ITNI SI FARMAYISH HAI. EK SAAF SUTHRI SI DOSTI KI KHWAAISH HAI. MAAF KAR DIJIYEGA AGAR YE HUMARI BHUL HAI. AHSAAN AAPKA HOGA JO HUMARI DOSTI KABUL HAI.