MAMU: Bhai, apne ko char mahine me Tamil sikhna padega. Kuch upay batao. MUNNA BHAI TAMIL kyun, aur char mahine ka kya chakkar hai? MAMU: Maine ek Tamil baccha adopt kiya hai, aur woh char mahine me bolne lagega.
Hansa:Automatically ka matlab kya hota hai?Praful:Jab auto me koi ladki baithti hai aur uske sir pe ek bhi baal na ho to usko kehte hain,Auto-main-Takli!
Husband aur wife hotel me gaye tabhi 1 lady ne Hello kiya, Wife koun thi wo? Hus Tum dimag kharab mat karo, main pehle hi pareshan hu ki woh bhi Yehi puchegi..
Patni: Suno ji, Aapko Mujme Sabse Jayada kaya Acha Lagta hai, Meri Beauty ya Meri Akalmandi? Pati: Muje to yeh teri Majak karne ki Aadat Sabse achhi lagti hai..