Is Kadar na har baat yaron se pucho, jo baat raaz ki ho woh isharo se pucho... Lehro se khelna to samandar ka shouk hai, lagti hai chot kaise yeh kinaro se pucho…
Haseen chehre par, Kabhi aetbaar na karna, Tod dete hai dil, Kabhi pyaar na karna, Hai guzarish doston se meri, Mar jaoge woh na aayenge, Kabhi intezaar na karna......
Jo tune diya use har pal yaad karenge, Har pal tere milne ki Faryaad karenge . Chale aana jab kabhi khayal aaye MERA, Hum roz khuda se pehle tujhe yaad karenge.
khushgawar mausam hai thodi c hawa me nami hai aansuon ki behti nadi abhi-2 thami hai milna to hum b chaahte hai unse par hmaare paas saanson ki aur un k paas waqt ki kami hai
Aksar Ati Nahi Woh Sham, Jiska Hota Hai Intezar; Aksar Fizain Loot Leti Hai, Khilti Kaliyon ka Khumar; Aksar Kho Jate Hain Log, Jinse Ho Jata Hai Pyar.