Nazre bhi kya cheez hai ye aaj dekh liya, palke jhukaake usne teh-e-dil ko chhu liya Khuli aankh pe bhi hum bharosaa na kar sake, sapne mein isliye use fir se chhu liya..
Intejaar ka meetha darad diya hai tumne, Mujh par bada ehsan kiya hai tumne, Kambakth aaj kal hichkiyan bhi nahi aati, Jo soochoon ke abhi mujhe yaad Kiya hai tumne
Us ko dil mein basa bhi na paaye, aur sahi tarah se bhula bhi na paaye, woh shaaks jo ban gaye the zindagi meri, hum uss ko haal-e-dil suna bhi na paaye.
Chehra dekh kar Dosti hi Nahi karte Ham! Dosti karte he to Dost ko Bhulte hi Nahi Ham! Jindgi me sayad Aap Hame Bhul jayege! lekin Aap ko Nahi Bhulege Ham!
Unki yaad dil se bhulai nahi jati... Yeh dil ki dolat roz lutai nahi jati... Kis muh se kahte ho ki unhe hum bhul jaye?. Yeh pyaar ki duniya hai, Roz basai nahi jati.......
Apne honthon ko badhao ki chuhlun shabnam Apni bahon mei chupao ki, bhuloon sab gum, Chohdo kaya rakha hai een wadon-kasamon mei, Mastiyan baant le, jee le khulkar, na ho koi waham
Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata, Lehro se pani ko hataya nahi jata, Hone wale ho jate hain khud hi dil se apne, Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata.
Khusi ki barsat hoti hai, jab aapse baat hoti hai, jab bhi busy rahe ye mobile mera, to samaj lena aapki salamati ke liye meri khuda se baat hoti hai..