Aaoge Jab Ghar Hamare Deep Jala Lenge,Miloge Jab Hamse EID Mana Lenge,Na Dosti Ki Koi Maszid Hai Na Koi Mandir Jaha Mango Dua Tum,Hum Sir Wahi Juka Lenge.
Kis par dosh lagaye apni barbadi ka,pyar ki raho me hum khud bhi gunehgar hai,jo lamhe bitaye the sath milkar kabhi,aaj mere liye vahi lamhe yaadgar hai.
Teri judai aese mere dil pe ja lagi.main khud bhi apne aap se barso khafa raha.viraN hai ye dil ki mahefil tere bagaR aae dost.kas aaj tum khwabo me hi ajate.
Jab bhi tanhayi se ghabra k simat jate hai hum teri yaadon k daman se lipat jate hai zuban se keh nahi sakte hum tumhe kitna pyar karte hai nikal padte hai aansu jab tumhe yaad karte hai!.
Na begunah hum rahe na bewafa woh rahe,Baaho me woh they phir bhi faasle rahe.Meri chahat mera muqaddar ban jaye kaash,Jaha dekhu unki surat nazar aaye
Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah ..!! Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah ...!! Khushbu Ke kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khat ...!! Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah ...!!
binti karte hai aapse, kabhi na kho jana sanam, saath chalenge yehan, hamari hai kasam yeh pyar hai samaj na lena sanam.. phir bhi ikrar karte hai...aapki kasam