Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Yaado me hamari woh bhi khoye honge, khuli aankho se kabhi woh bhi soye honge, mana ki hasna ada hai gum chupane ki, par haste haste kabhi woh bhi roye honge
Sanso ki Mehak ho ya Chehre ka Noor, Chahte hai aapko to isme Hamara kya Kasoor, Khuda se ek din Hum Puchenge Zaroor, Ki Chand se Kyun hai uski Chandni Door.
Tanhaiyo ke saher me 1 ghar bana liya Ruswaiyo ko apna mukadder bana liya dekha he yaha patthar ko pujte hain log bas isliye apne dil ko patthar bana liya.!
dayare me rehna bhi zindagi hai to hadh se gujarna bhi zindagi hai khusiyoan ko baatna bhi zindagi haito yu gamo se ladna bhi zindagi hai yu to rehti hai hothon pe muskurahat par shayad chupke se dard sehna bhi zindagi hai