Yeh Bhi Aadab

Yeh Bhi Aadab
Yeh Bhi Aadab Hamare Hain, Tumhain Kya Malum Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum
  

Jan, 31 2012     181 chars (2 sms)     1087 views       Shayari > Love Shayari

more Love Shayari SMS Messages

Do Hi Lafzon Ka Tha Woh Afsana,Jo Suna Kar Khamosh Ho Baithay..Ibteda Yh Ke Tum Ko Chaha Tha,Inteha Yh Ke Khud Ko Kho Baithay..
Kaun kahta hai maine tumko bhula rakha hai dil me hr Raz jo chipa rakha hai Tune jo dil ke andere me ki thi roshni us roshni ko aaj bi sajaa rakha hai
Dil Chata H Tumse Mulakat Roz Ho,Zindagi K Lamho Me Tera Sath Roz Ho.Ho Tumse Baten Kuch Itne Kareeb Se,Jo Umar Bhar Na Bhule Wo Baat Roz Ho.
Sabki khushi ki chah karte hain,Bas itna sa gunah karte haiAaj phir apke intezaar main bethe hain,Dekhna hai kab aap Yaad karte hain.
Hum ne tanhai me zanzeer se baaten ki hai,apni soi huwi taqdeer se baate ki hai,tere didar ki kya tamanna hogi, zindagi bhar teri tasweer se baaten ki hai.
Kuch pal ki khushi apke sath me thi,aisi koi lakeer hamare hath me thi,dur rehkar b apko yaad karte hai hum,koi bahut pyari si baat humari mulakat me thi.
kaash tum chand aur main sitara hota Falak par ek ashiyana hamara hota Loog tumhe door bahot door se dekhte Aur tumhe chhoone ka haq sirf mera hota
Kitabo mein phool rakhna darakhto pe naam likhna Tumhe bhi yaad hai wo harfe nazar se salaam likhna Woh sham ki mulaqate,wo pyar bhari baten Wo chote chote kagzo par muhabbato ke paigham likhna
Dosti Ko Bhulana Fitrat Nahi Hamari, Aap Se Dur Rehna Majburi Hain Hamari, Jeene Ke Liye Sirf Saans Kafi Nahi, Apka Hona Bhi Zarurat Hain Hamari.....
Pehli Barish, Bhiga Mausam;Unki Yadein, Ankhein Num;Na Jaane Kis Rah Se Woh Guzre;Har Rah Par Ankein Bichaye Baithe Hain Hum.
Hui Hai Hum par tumhari kuch aisi Inayat ki, har pal tumhe hi sochte hai kaise kahoon tumse wo dil ki baat, ki har pal ek bahana khojte hai.
Woh kehte hai majboor hu main, na chahte hue tumse dur hu main. Chura li jinhone meri dhadkane, phir bhi kehte hai bekasur hu main.