Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
pyar pe bas to nahi hai mera lekin fir bhitu mujhe bata de ki tujhe pyar karu ki na tune khud apni adao se jagaya hai jinhe un tamanao ka ijhar karu ki na
Tumne chaha hi nahin,warna halaat badal sakte the, Mere anshoo teri ankhon se nikal sakte the, Tum to thahre hi rahe jheel ke paani ki tarah, Dariya bante to door nikal sakte the.
Rasstoon pay matt baetho hawa tanng karray gi Guzzray hoayy loogoon ki sadda tanng karray gi Mattt tooot kar chahho ussay aghazay safar main Bicchray ga tu IK IK adda tanng karray gi