meri wafaoon ka ager sila hota.. Na pher zindagi sey humain gila hota.. Na kerty pher hum chand ki justajo ....Bas o shakhas ager mujey mila hota......
Tumhe mai pyar kahun yaar kahun ya jane jana,Naam kuch bhi rahe tamana hai tumse mil jana,Jindagi rukati nahi kisike liye chhod apni raahein,Raah pal bhar ko badal kar meri raahein chamaka jana.
Teri Yaadon ke Siva koi Lamha Guzaara Nahin,,,,, ek pal Nahin jab TumheMere Dil Ne Pukaara Nahin Tere bin Youn Kat Rahi Dariya-e-Zindagi Mein,,,, Kashti Bhi Hai Maajhi bhi hai,Kinaara Nahin…..
Yeh Dil Ka Zakhm Tumney Diya Hai Tou Koi Baat Nahin Yeh Jigar Ka Dard Agar Tumney Diya Hai Tou Koi Baat Nahin Majaal Kiski Thi Ki Kehta Mujhey Deewana Magar Yeh Tumney Kaha Hai Tou Koi Baat Nahin......