Ishq hona bhi muqadar ki baat hoti hai, Mehboob ke bina zindagi tanhaai mein roti hai, Jeene lagte hein hum chori chori is jahaan mein, Unki chaahat hi is dard-e-dil ki dawa hoti hai
Jab bolte hai to kehte ho ki bohot bolte ho Jab chup rehte ho to kehte ho ki naraz ho? Dil ki baat akhir kaise bataen Batate hain toh kehte ho mazak kar rahe ho?
Meri aankhon mein joh tasveer basi hai, Us tasveer mein hi meri taqdeer basi hai, Kis tarah judaa kar dun usko apni aankhon se, Mohabbat ki duniya mujhe ussi mein hi to mila hai.......
Unki tasveer yuh aakho me bas gayi hai, Ki dekhte hai jo bhi nazara,..... wohi dikhai dete hai, Pehle na kabhi mehsus kiya tha dil ki dhadkan ko, Ab to har bar dhadakta hai.. .... wohi sunai dete hai....
Dilse tera khayal na jaye to kya karu, tu hi bata tu yaad aaye to kya karu, hasrat ye hai ki ek nazar tujhe dekh lu, magar kismat wo lamha na laye to kya karu
Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata, Lehro se pani ko hataya nahi jata, Hone wale ho jate hain khud hi dil se apne, Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata.
Raah asaan ho gayi hogi Jaan pehchaan ho gayi hogi Phir palat kar nigah nahi aayi Tujhpe qurbaan ho gayi hogi Teri zulfo ko chedti thi hawa Khud pareshan ho gay
Khuda ne mujse kaha bande dosti na kar dosti mein tu deewana ho jayega. Maine kaha ae khuda kabhi zamin pe aake MERE YAAR se mil, TU khud hi uska diwana ho jayega