Aap ko dekh kar ye nigah jhuk jayegi, khamoshi ab har baat keh jayegi, padh lo in aankhon mein apni dastan, aapki kasam sari kaaynaat wahi tham jayegi.
Meri zindagi ke is mod pe ye kaisa waqt aaya hai, zakhm is dil ka zubaan pe aaya hai, nahi rote hum kaanto ki chubhan se, aaj kisi ki yaad ne humko itna rulaaya hai......
Mere pyar ko apni takdir bana lo,meri yadaun ki dil me zanzir bana lo,kagaz par lakeeren to bahut kheench li tumne,ab unko milakar meri tasveer bana lo
Ashkon ko humne kayi baar roka,phir bhi na jane kyon ankhen dhoka de gayi,bharosa to tha hame iN apne aap par magar,unka zikr aate hi naa jane kyon palken nam ho gayi
Barishon k mausam main tumhain yaad karney ki adat purani hai ab ki baar socha hai adatain badal dalain phir khayal aya k.... adatain badalney se barishain nahin rukti....
Youn hi tunhai main hum dil ko saza dete hain, naam likhte hain tera likh ker mita detey hain, yai soch ker rehne dia armaano ko dil main, mehman kabi gar se nikale nahi jate.