MERI AANKHEN RAKH LO MUJHE KUCH KHUAB DE DO,JIS ME TUMHAARI JHALAK HO AISI SHARAB DE DO,CHALO CHORO SAARI BAATEN EK BAAT MAANO,MERI SAARI UMAR LE LO BAS EK PAL KA SAATH DE DO.
Chehre ki har muskan ban jata hai koi, dil ki har dhadkan ban jata hai koi, phir kaise jiye zindagi uske bin, jab zindagi jine ki wajah ban jata hai koi..
Wo dard hi kya jo ankho se beh jaye wo khushi hi kya jo honto pe reh jaye kabhi to samje koi kisi ki khamoshi ko wo bat hi kya jise alfaz asani se kehjaye.
Tujhe dekhe bina teri tasveer bana sakta hoon, tujhe jane bina tera haal bata sakta hoon, hai meri mohabbat mein itna dum, apni aankh ka aansoo teri aankh se gira sakta hoon....