Wo to paani ki boond hai jo ankho se bah jaay... Ansu to wo hai jo tadap ke ankho me hi rah jaay... Wo pyar kya jo lafso me bayan ho... Pyar wo hai jo ankho me nazar aaye.....
Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,sachi chahat to sada bezuban hoti hai,pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai.
Pilana farz tha kuch bhi pila diya hota, Sharab kam thi to pani mila diya hota, Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha, To muskura ke sar hi hila diya hota.
Zindagi aapke bina adhuri hai, na jane q aapke mere beech me ye duri hai, sochta hu kabhi bhula du aapko ko, per aapki ek muskan meri bahut badi kamjori hai…
Chale gaye the door ek pal ke liye,magar aapke dil ke kareeb the har pal ke liye,kaise bhulenge aapko ek pal ke liye, jab kho chuke khud ko har pal ke liye.
Rehne de aasman, jami ki talash kar, sab kuch yahi he, na kahi aur talash kar, har arzoo puri ho to jine ka kya maja, jine k liye bas 1 kami ki talash kar.