Ae khuda, bhala hota, gar tu sirf ghum hi deta Use khushi ke saath jodne ki kya zarurat thi.. Bana deta muze uski zulfon ka koi gesu, Aashiq ya dost bananeki, kya zarurat thi..
Ab mujhe zindagi se pyar nahi hai, maut pe hai, zindagi pe aitbar nahi hai. rok le jo unki yadon ko dil me aane se, itni unchi mere dil ki deewar nahi hai..
Aa k meri kabr pe tune jo muskura diya, bijliyan chamak uthi sara badan jala diya. Jeete je na poocha haale dil kabi, ab aye ho poochne jab khaak me mila diya ?