Tere khayal se jee churaon kaise, ek aag dil me lagi hai bujhaon kaise, meri har saans teri yaad se wabasta hai, phir to hi bata tujhe bhool jaon kaisy
Ga saku nagma,wo saaz kaha se lau, Suna saku kuch aapko wo andaz kaha se lau, Yu to chand ki tarif karna aasan hai, Kar saku aapki tarif wo alfaj kaha se lau,
Falak ko zid hai bijliya girane ki. hume b zid hai wahi aashiyan banane ki,aapko hai zid gar hume bhulane ki, to hume b zid hai aapko apni yaad dilane ki.
Har waqt Hothon Par Aapke Hasi Ho, Har Pal Dil Me Aapke Khushi Ho Sitare Bhi Zami Par Akar Aapko Gher Len, Aisi CHAND ki Tarah Chamkati Aapki Zindagi Ho.
Milna itefaq tha bichadna nasib tha,wo itne dur ho gaye jitne karib the,hum unko dekhne ko taraste hi reh gaye,jis shakhs ki hatheli pe hamara nasib tha..
Barson Ke Baad Hoti Hai Mulaqat Phir Bhi Rehti Hai Dil Me Dil Ki Baat Nazron Se Karna Padta Hai Pyaar Par Nazar Milane Ke Liye Bhi Karna Padta Hai Intezaar