Shikayat he Tumse Par keh Nahi sakte,Bahut Dard chupa he Dilme lekin dikha nahi sakte,Apse mile bina jee Lenge Hum,Magar apko yaad kiye Bina reh Nahi Sakte.
Jugnu ko kaid karke muskurya na karo, Roshni ki khatir kisi ko jalaya na karo, Dil pe sitam itne kyu karte ho ,yaad nahi karte to kamse kam yaad aye na karo
Hamare dosti ko na DIL se juda karna, zindgi mein na kabhi yeh gunah karna.. kuch pal chahe beet jaye tumse baat kiye bina, zindgi na beet jaye yeh dua karna...
yaado ki dhund me aapki parchai si lagti hai sannate me gunjti shehnai si lagti hai aap saath ho to duniya jannat hai warna seene me saans bhi parai si lagti hai
Manjil ki talash mein nikle hain hum sabhi,sabki manjil ek ho yeh mumkin nahi,aise hi kisi mod par bichad jayen jo kabhi.yeh mat samjhana aapke sath hum nahi
vada utnaa hi karo jitana nibha sakte ho Khwaab pura jo na ho woh na dikhana mujh ko apne rishte ki nazaakat ka bharam rakh lena main to aashiq hoon dewaana na bana mujh ko....
Tute dil ki hasrato ka dil me basera rahega, Aankh meri jo royegi to dard tera rahega, kuch is tarah samaya hai rag rag me tera pyar, Aakhri saans rehne tak labon pe tera naam rahega.
Khamoshi me jo sunoge wo awaz hamari hogi, zindagi bhar sath rahe wo wafa hamari hogi duniya ki har khushi 1 din tumhari hogi Q k inke piche "DUVA" hamari hogi-