Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Chand tare jami pe lane ki zid thi, hume unko apna banane ki zid thi, achha hua wo pehle hi ho gaye bewafa , warna unhe pane ko zamana jalane ki zid thi.
Gila nahi jo naseebo ne kar dia juda, teri judai bhi ab hume pyar karti hai, Kinare baith k jiske kiye the dil ne karaar,nadi wo bhi ab tera intezar karti hai
Ajnabi Log Bhi Dene Lage ilzam Mujhe.!Najane Kahan Le Jayegi teri Pehchan mujhe.!Bhulna Chahu Bhi To Bhulu Kaise.!Log Le Le Ke Bulate Hain Tera Naam Mujhe.
ZINDAGI KISI KI AMANAT NAHIN HOTI, AMANAT MAIN KABHI KAYAMAT NAHI HOTI, DIL KO SAMBAHL KAR RAKHNA MERE DOST, ISHK KI QAID MAIN KABHI ZAMANAT NAHI HOTI.