Har chirag ki lau soyi-soyi thi.Uss sham vo kisi se bichad ke khoyi thi.Naha gaya tha me jugnu ki barish me.Jab vo mere kandhe par sar rakh kar royi thi.
Kahi Kuch Baate, Suni Kuch Baate, Bhuli Kuch Baate, Kuch Baate Yaad Reh Gayi. Tum De Gayi Wo Sab Jo Kabhi Socha Na Tha, Fhir bhi Tere Jane Ke Faryad Reh Gayi.
Us Ke Ankhon Main Koi Dukh Basa Ho Shayad Ya Mujhay Khud He Vahem Hua Ho Shayad Main Na Pucha k Bhool Gae Ho Mujh Ko Pounch Kr Ankhain Mujhay Us Na Kaha "SHAYAD"
Aankhon mein aansuo ko ubharne na diya,Mitti ke motiyo ko bikharne na diya,Jis raah pe pade thay tere kadmo ke nishaa,Uss raah se kisiko guzarne na diya!