Mazaa to humne intezar me dekha hai,chahat ka asar pyar me dekha hai log dhundte hai mandir maszid me jise,us khuda ko humne aapke pyar me dekha hai...
Dhoka na dena ke tujpe aietbar bahut hai,ye dil tere chahat ka talabgar bahut hai, teri surat na dekhe to dikhai kuch nahi deta, hum kya kare ke tujse pyar bahut hai
Unki zudai ne hume yar se kafir bana diya,Likhi ibarato ko kore kagaz sa bana diya,Dalega phir dil hamara mohabbat me kabhi,Is aas ne hamko musafir bana diya.
kyoon zindagi ki raah mein majboor ho gaye itne huye kareeb ke hum door ho gaye aisa naheen ke humko koi bhee khushi nahin lekin ye zindagi to koi zindagi nahin kyoon iske faisle hamen manzoor ho gaye paaya tumhe to humko laga tumko kho diya hum dil pe roye aur ye dil humpe ro diya palkon se khwaab kyoon gire kyoon choor ho gaye.....
Bata e ajnabi tera kya naam rakhun, Khawab rakhun to adhura reh jayega, Dil kahun to toot jayega Aa tera naam zindagi rakh doon, Maut tak to tera saath rahega
Kabhi Wo Mujh Say Kehta Tha K Meri Zindagi Tum Ho.Tum Hee Ho Arzoo Meri Meri To Har Khushi Tum Ho.Na Dekhoon Main Agar Tum Ko To Aankhien Noor He Kho Dein Meri Aankhoon Main Jan-E-Jaan Chamkti Roshni Tum Ho.
Yadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai kaano me gunjti sehnai si lagti hai aap karib hain to aapnapan hai, warna seene me saans bhi parai si lagti hai