Kabhi mautse zindgi ka sauda na kar saka Uski yaado ko dilse juda na kar saka.Use bhulne ki aarju bahut thi dilme Par kaise karu wo kaam jo khuda na kar saka
Iss Duniya Ki Bheer Mein Koi Tanha Nahi Ye Zaroori Tu Nahi... Hanstey Laboon Kay Peechay Koi Siski Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Muskarati Aankhoon Kay Peechey Koi Aansoo Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Ye Dil Under Say Tootey Or Chanak Bahar Bhi Sunai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Hum Under Say Jal Jaeen Or Dhuaa Bahar Bhi Dekhai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Duniya Aapne Diya Hue Zakhmoo Per Marham Bhi Rakhey Ye Zaroori Tu Nahi
Wo na Aye unki yad akar wafa karGai Unse milne ki tamanna Sukun tabah karGai Ahat hui socha asar Dua kar Gai Darvaja khola to dekha mazak Humse hawa kar gayi
shayri kya hai ek baat jo kehte kehte chupa li jaye ek yaad jo sine se laga li jaye jante ho shayri kuch u hoti hai ki ek aah chand lafjo me chupa li jaye
Sachi Hai Meri Dosti, Aazmake Dekh lo...Karke Yakeen Mujhpe, Mere Paas Aake Dekh lo...Badalta Nahi Kabhi Sona Apna Rang,Jitni Baar Dil Kare Aag Laga Kar Dekh lo...
Poocho na us kaagaz se, jis per hum dil ke bayaan likhte hain, tanhaayion mein beeti baatein tamaam likhte hain, woh kalam bhi dewani ho gayi, jis se hum tumhaara naam likhte hain.....