Apke saath rahte rahte hume chaahat si ho gayi. Apse baat karte karte hume aadat si ho gayi. Ek pal na milo to bechaini si lagti hai. Dosti nibhate nibhate hume to mohabbat si ho gayi..
Vo dekhte hain humein aur chhup jate hain Kehhni hai shayad kuchh baat par jane kyon ghbrate hain Jab bhi milte hain to bas ek chhota sa paigam de jate hain Par dil main hai jo baat kabhi honthon pe nahi late hain
shayri kya hai ek baat jo kehte kehte chupa li jaye ek yaad jo sine se laga li jaye jante ho shayri kuch u hoti hai ki ek aah chand lafjo me chupa li jaye
Har ghadi intezaar mein gujri,baato ke baad aapki yaadon mein gujri,hum to ek phool the, aap rakh ke bhule gaye,phir tamam umar aapki kitaab mein gujri.
Bahut tamana thi kisi ko apna banane ki, Bahut tamana thi kisi ka ho jane ki, Pr kya pta tha jis ke hum hona chahte he, Unhe adat hi nhi kisi ko apna bnane ki.
Apne honthon ko badhao ki chuhlun shabnam Apni bahon mei chupao ki, bhuloon sab gum, Chohdo kaya rakha hai een wadon-kasamon mei, Mastiyan baant le, jee le khulkar, na ho koi waham
Ankho Me khwab utrne nahi deta Wo shakhs mujhe chain se Marne nahi deta Bichde to Ajab pyar jatata hai Khato mE Mil jaye to fir had se gujrne nahi Deta