Kya zamana tha hum roz mila karte the Raat bhar chand ke hamrah chala karte the Dekh ke jo hame chup chap guzar jata hai Kabhi is saksh se hum pyar kiya karte the.
Jab bolte hai to kehte ho ki bohot bolte ho Jab chup rehte ho to kehte ho ki naraz ho? Dil ki baat akhir kaise bataen Batate hain toh kehte ho mazak kar rahe ho?
Jati nahi aankho se surat teri, Jati nahi dil se mohbbat teri, Mahsus ye hota hai jeene ke liye, Pahle se jyada hai jarurat teri... Jisme teri kami hogi………..
Humein kya pata tha unka andaaz-e-byan itna haseen hoga Un ka aana paas hamare itna afreen hoga Yoon hi unse dil laga maikhaane mein shareek ho bethe they Humein kya pata tha vahan un ka mehfil-e-deedar hoga
Mana hum halaat se majboor rehte hy, Phir bhi apke khayalo me jaroor rehte hy, aankhon mein rehti hy tasveer aapki, kya hua jo hum aapse door rehte hy..
Jiss ko kehte hai mohabbat hai khuda ki nehmat, Sab ki kismat me ye daulat ho zaruri to nahi, Chand chunn-ne ki tamanna to hum ko bhi hai, Magar door kaa chand haqiqat ho zaruri to nahi