Mere mehbub Chale aao hum tume yad karte hai, Ye wo gunah hai jo hum baar-baar karte hai,Jalaake dilme hasrato ke chirag Aapke aane ka behad intezar karte hai
Mere pyar ko apni takdir bana lo,meri yadaun ki dil me zanzir bana lo,kagaz par lakeeren to bahut kheench li tumne,ab unko milakar meri tasveer bana lo
Dil se Dil ke beech koshish se pool banaya na jaye Pyar ko jod-tod ki koshishon se ubhara na karo,Shabnami hawa hai, Diwanon ki basti hai,yeh Pyar hota hai khamosh, yeh shor dobara na karo.
Aaj Mosam Me Kuch Ajeb Si Bat HaiBekabu Se Mere Jazbat HaiJee Chata Hai Churale Aapko Aap Hi Se Hum Pr Kya Kre Papa Kehte Hain Chori Krna Buri Bat Hai.
Kuch rahe na rahe, teri mohabbat ka sahara rahe Pyar main dooba, hamesha ye dil hamara rahe Khushian teri, sare ghum mere hon dua yehi hai Ankhoon main, sada chehra tumhara rahe
Aap har manzil ko mushkil samajhte hain , Hum Aapko manzil samajhte hain , bada fark hai Aapke AuR Hamare nazariye mein , Aap hamein Sapna, AuR Hum Aapko Apna samajhte hain....
Honto pe tumhare hamara naam tak na aaye mein milne aau par tu bahar na aaye anjaan hai hamare pyar se vo ab tak ya shayad hum jaiso pe unko taras na aaye
Koi Milta Hi Nahi Humse Humara Ban Kar,Wo Mile Bhi To Ek Kinara Ban Kar,Har Khwab Kaanch Ki Tarah Tuta he hamara,Ek Yakin He Hai Mere Sath Sahara Ban Kar.
maine aansu mange the tumse,tumne hasi de di,maine maut mangi thi tumse,tumne zindagi de di,zindagi dene ki ab wajah to batao,nahi to apni zindagi bhi sath le jao.