Jaan se bhi zyada unhe pyaar kiya karte theYaad unhe din-raat kiya karte theAb un raahon se guzra nahi jaata Jahan baith kar unka intzaar kiya karte the
Tanhai mein waqt barbad kiya karte hai, Hum har din har pal tumhe yaad kiya karte hai, Mein nahi janta gharwale batate hai, Hum neend mein bhi aapka naam liya karte hai
Yaado ko teri humne khone na diya, gumo ne bhi chup hone na diya. aankhe to aaj bhi bhar aayi teri yaad me, par teri di hui kasam ne hume rone na diya.!
Aankhon me rahe dil me utarkar nahi dekha, kashti ke musafir ne samundar nahi dekha, patthar mujhe wo samajhte hai, mai mom hun, usne mujhe chhukar nahi dekha.
Jab b aapki yaad aati hai, mere honthon pe ye fariyad aati hai, khuda khush rakhe aapko hr haal me, kyunke hmari khushi to aaj b aap ki khushi ke baad aati hai.