Aag duniya mein lagi ho to bujhana mumkin, Tum lagi dil ki bujha doge to chain ayega... Ab tak ishq mein aankhon se hi baatein ki hain, Yeh ada dil ko sikha doge to chain aayega.
Barishon k mausam main tumhain yaad karney ki adat purani hai ab ki baar socha hai adatain badal dalain phir khayal aya k.... adatain badalney se barishain nahin rukti....
Labo pe aaj unka naam aa gaya,,, Pyase ke hath me jaise jaam aa gaya,,, Dole kadam to gira unki baahon me jakar,,, Aaj humara pina hi hamare kaam aa gaya,,,
Kuch nasha to aapki baat ka hai, kuch nasha to dheemi barsaat ka hai, humein aap yun hi sharabi na kahiye, is dil par asar to aap se mulakat ka hai....!