Aankhon me rahe dil me utarkar nahi dekha, kashti ke musafir ne samundar nahi dekha, patthar mujhe wo samajhte hai, mai mom hun, usne mujhe chhukar nahi dekha.
Tu meri chahat hain, tu meri tamana hain, tu meri aarzoo hain, tu hi meri dua hain, tu hi mera dil ka sukoon hain, tujhe pane ki aas hain, tu hamesha mere dil ke paas hain, ab toh har pal yeh ehsaas hain, Ki tu mere liye kuch khaas hain.
Kaash tum mujhe ek khat likh dete, mujhme kya kya thi kami yeh to bata dete, tadapte dil se mere tumne nafrat kyu ki, nafrat ki hi mujhe koi vajah to bata dete
Jaan chuke hum aaj, ke kyu khote rahe muhabbat ko, wo saamne rehte to hum khwaab dekhte the. Usko na mila apna chehra meri nazar mein, aur uske chehre ko hum khwaabo mein dhoondhte the