Suraj Ki Kya Zarurat Aye Khuda Andhera Hatane Ke Liye, Ke Unki Roshni Hi Kaafi Hai Raat Ko Mitane Ke Liye, Wo Kehte Hain Tera Pyaar Zaada Hain Is Dil Me Basane Ke Liye, Unhe Kya Pata Unki Aankhen Hi Kaafi Hain Mere Dubjane Ke Liye
Ek na ek shamma andhere mein jalaye rakhiye, Subha hone ko hai mauhol banaye rakhiye, Kaun jane wo kis gali se guzre, Har gali ko phoolo se sajaye rakhiye!
Aaj Kah Dunga Shab-E-Gum Ki Shararat Unse Roz Aa Jati Hai Kambaqt Satane Ke Liye Humko Maloom Tha Aap Ayenge Mere Ghar Lekin Khud Chala Aya Hoon Yaad Dilaneke Liye
Meri manzil hai kahin aur tujhe ye khabar to ho, Raah men pada koi ab tum pathhar to na ho, Tu jaan le iss baat ko ab achhi tarah, Izhaar mujhse karne ka koi dil men waham na ho
Dilo ki Daastan UNHE kahan Kabool thi, Meri Wafayen UNKE liye Fizool thi, Koi Aas nahi lekin Itna to bta Do, Maine Chaha AAPKO,Kya bas Yehi Meri Bhool thi.